Heart Touching 2 Line Alone Sad Shayari in English​ Quotes for Status

Feeling lonely can be very painful, and sometimes words can express what the heart feels. But it is a part of everyone’s life, so we share this Alone Sad Shayari in English​, where each 2-line shayari is heart-touching, speaks to a heartbroken soul, and helps you connect with your emotions. From emotional love lines for your girlfriend to breakup feelings and friendship moments, these shayari with sad alone quotes in Hindi are perfect to read or share.

If you love short and heart-touching lines, you will enjoy this collection of alone sad shayari in English that truly speaks from the heart. You can also read shayari about life, so keep exploring this amazing collection of Alone Sad Shayari in English​.

Alone Sad Shayari in English

Alone Sad Shayari in English

Raas tanhai bhi nahi aati,
Aur har shakhs se bezar bhi hoon.

Tanha ho jaana nazarandaz ho jaane se behtar hai.

Jab saath dene wale mushkilaat paida karne lage,
To tanhaiyan hi behtar lagti hain.

Main us raste par bhi akela chala hoon,
Jahan mujhe kisi ki sakht zarurat thi.

Tere hijr mein yun zard hue jaate hain,
Log takte hain to humdard hue jaate hain.

Na aazmao mujhe itna ke main majboor ho jaun,
Jo pehle se hi tanha ho use dard nahi dia karthe.

Use na kaho ke kismat ki baat hai,
Meri tanhai mein kuch haath tumhara bhi hai.

Aaj socha hai dosti kar lein,
Khud ki tanhai se hi jee bhar lein.

Sabse zyada online rehne wale log,
Haqeeqi zindagi mein sabse zyada tanha hote hain.

Jab se laga hai tanhai ka rog mujhe,
Ek ek karke chhod gaye sab log mujhe.

Apnon ne bhi na socha ke ujrungi to kidhar jaun gi,
Aashiyana jin ka na ho wo parinde aksar mar hi jaate hain.

Maine logon ki bheed mein,
Logon ko logon ke liye taraste dekha hai.

Raas tanhai bhi nahi aati mujhko,
Aur har shakhs se bezar bhi hoon.

Shaur ka karishma hai ya shauq-e-tanhai,
Rafta rafta dil se utar rahe hain log.

Kaun kehta hai tanhaiyan achhi nahi hotin,
Ye to aik mauka hain khud se milne ka.

Emotional Sad Alone Shayari in English

Hum tanhaiyon ke badshah hain ji,
Ab hamara ronakon mein dil nahi lagta.

Har kisi ke naseeb mein kahan likhi hain chahatein,
Kuch log duniya mein aate hain faqat tanhaiyon ke liye.

Tanha nahi hoon main,
Mujh mein basa hai woh.

Zindagi bhar ki shanasaai chali jaayegi,
Ghar basa loon to tanhai chali jaayegi.

Beemar pada raha main barson bistar par,
Tera hijr meri jawaani ke din kha gaya.

Bazahir ronakon mein bazm aaraai mein jeete hain,
Haqeeqat yeh ke hum tanha hain tanhai mein jeete hain.

Main tanha hoon magar khush hoon,
Kyunki mehfilein tabah karti hain.

Main kisi aisi jagah ki talaash mein hoon,
Jahan gehri tanhai to ho magar ehsaas-e-tanhai na ho.

Tanha karna hy to mukammal karo na yaar,
To muj se mere wajood ka saya bhi cheen lo.

Jisne har pal saath nibhaya hai,
Woh koi aur nahi mera saya hai.

Kandha nahi hai mayassar koi ab mujhe,
Rona aaye to deewar se lag jaata hoon.

Raat ka manzar bhi ajeeb hota hai,
Andhera darta hai meri tanhai se.

Kitni khamosh thi woh hijr ki raat,
Dil ki dhadkan se kaan phatte the.

Tanha rehna har kisi k bas k bat nai
bara jigra chahey hota hy khd se larni k lye

Feeling Alone Sad Shayari in English

Raas aajati hain tanhaiyan bhi,
Bas ek do din bura lagta hai.

Suno, hum baith kar tanha kisi veeran goshe mein,
Hawa ko dukh sunayenge, tujhe hum bhool jaayenge.

Ab yeh aalam hai ke tanhai se hum tang aakar,
Khud hi darwaze ki zanjeer hila dete hain.

Aa dekh, tere hijr mein guzare kuch hi dinon mein,
Mere sar ke baalon mein safedi utar aayi hai.

Tanhai yeh nahi ke aap kisi jagah akelay ho,
Balki aapke aird-gird logon mein adam dilchaspi ka naam tanhai hai.

Na meri koi manzil hai, na koi kinara,
Tanhai meri mehfil hai, yaadein mera sahara.

Unse bichhad kar kuch yun waqt guzra,
Kabhi zindagi ko tarsa, kabhi maut ko pukara.

Dono ek nadi ki tarah the juda,
Woh us paar akela, main is paar tanha tha.

Hum bhi phoolon ki tarah aksar tanha hi rehte hain,
Kabhi khud se toot jaate hain, kabhi koi tod deta hai.

Ghamon se bada gehra talauq hai mera,
Jab bhi dekhoge mujhe gham se nadhaal dekhoge.

Mana ke har koi udaas hai yahan,
Par kisi kisi ka gham khaas hai yahan.

Lambi baatein, wazahatain nahi ab,
Mukhtasar si karta hoon,
Kitaab-e-zindagi duniya ke aage ab kholne se darta hoon.

Phir kisi se baatein, woh mulaqatain ab nahi hongi,
Raatein to hongi, par woh raatein ab nahi hongi.

Yeh zaat tamasha ban chuki hai,
Duniya ke mele se thak.

Very Sad Shayari in English Hindi Text

Pehle sab khwab kagaz par likh kar sajaye,
Maine phir jala kar kagaz, darya mein behana achha laga.

Khud hi ko tabah karke roya hoon main,
Har roz gunaah karke soya hoon main.

Main ladki ho ke bhi qaim hoon apni baaton par,
Magar haya nahi aayi tujhe, mukarte hue Rehana Qamar.

Aasaan nahi hain yaadon ke deep jalana,
Khoon se jalti hai yeh aag tanhai ki.

Tanhai mein jeene ke shaukeen hain hum,
Koi saath rahe to humein achha nahi lagta.

Kehne lagi hai ab to tanhai bhi mujh se,
Mujh se hi karlo mohabbat mein to bewafa nahi.

Kaun aayega yahan, koi na aaya hoga,
Mera darwaza hawaon ne hilaya hoga.

Aakhri aaina bhi tod diya,
Meri tanhai ab mukammal hai.

Hamare paas na baitho,
Hamari tanhaiyan khafa hoti hain.

Dil tapakne laga hai aankhon se,
Ab kisse raazdaan kare koi?

Shehar mein shor, ghar mein tanhai,
Dil ki baatein kahan kare koi?

Hans na itna bhi faqiron ke akelay pan pe,
Ja Khuda, tujhe bhi meri tarah tanha rakhe.

Jab insaan tanhai ko pasand karne lage,
To samajh lo ke woh logon ki haqeeqat jaan chuka hai.

Bazahir mehfilon ki jaan hoon main,
Lekin haqeeqatan tanhai ka maara hoon.

Saara shehar uske janazay mein shareek tha,
Woh ek shakhs jo tanhai ke khauf se mar gaya.

Heart Touching Sad Shayari in Roman English

Humne bhi zindagi guzari thi,
Ishq hone se ishq khone tak.

Gale milte hain jab kabhi do bichhde hue,
Saathi hum besaharon ko badi takleef hoti hai.

Raat darwaze pe kitni dastakon ke nishan the,
Phir wahi paagal hawa thi, phir…

Teri tamanna, tera intezar aur tanha saaman,
Thak kar muskara diya jab ro nahi paaya.

Nazneen, nazaafreen, naazuk badan, naazuk mizaaj,
Ghuncha lab, rangeen ada, seemein zankh, shireen dehan.

Nikal pada hoon, kisi be-nishan manzil ko,
Fana ke dasht mein, saaye ko haankta hua main.

Raat darwaze pe kitni dastakon ke nishan the,
Phir wahi paagal hawa thi, phir mujh se dhoka hua.

Gale milte hain jab kabhi do bichhde hue,
Saathi hum besaharon ko badi takleef hoti hai.

Qabil-e-deed aankhen aur un aankhon se,
Khud hi paamaal hue, khud hi tamasha dekha.

Kaun kharidega heeron ke daam tere,
Aansu woh jo dard ka tajir tha, shehar chhod gaya.

Sau baar chaman mehka, sau baar bahaar aayi,
Duniya ki wahi ronak, dil ki wahi tanhai.

Meri rooh ko tanhai ki zanjeer pehna kar,
Woh mere paas to hota hai, magar mera nahi hota.

Akele rehna seekh chuka hoon,
Ab dil nahi lagta mehfilon mein.

Palat kar aane lage shaam ko parinde,
Hamari subah ka bhoola, abhi tak nahi aaya.

Main tanha hi behtar hoon,
Mujhe zarurat nahi jhoothe saharon ki.

Akele aaye the, akele jaayenge,
Na jaane akele raha kyu nahi jaata.

2 Line Alone Sad Shayari in English​

Dekho to mere ird-gird kitna hujoom hai,
Socho to ain-e-madh mein tanha khadi hoon main.

Meri tanhai ka mujhe gila nahi,
Kya hua jab koi mujhe mila nahi.

Phir bhi dua karenge aap ke waaste,
Aapko woh sab mile jo mujhe mila nahi.

Kuch log akele ho jaane ke khauf se,
Be-qadrey logon ke saath bandhe rehte hain.

Ek chai do cupon mein barabar si baant kar,
Aksar kya hai farz ke tanha nahi hoon main.

To kahan hai, ke teri yaad ke haathon ab to,
Mere saath pareshaan, meri tanhai bhi.

Dil ki gehraiyon mein chhupi hai zindagi ki raazdaari,
Kuch lamhe ki maujoodgi, kuch lamhe ki bimari.

Maut se darna kya, jiyo to phoolon ki tarah,
Jo khil jaayein to kya ho gaya, marna to bekaari hai.

Raaston ki ganayen, aur sitaron ko chamakte dekho,
Zindagi ke safar mein, hamesha khwabon ko pakad lo.

Mausamon ki tarhaali mein, zindagi ki muskaan chhupi hai,
Bas khushiyon ko peeche chhod ke, ghamon ki taraf chal padho.

Kabhi kabhar tanhai ko gale laga lo,
Khud se ho kar raho, khud ko pehchaano ge.

Zindagi ki kitaab mein har safha nai kahani hoti hai,
Safha palto to keh do, khushiyon ka intezaar karein.

Duniya ki bhaag-daud mein, hum khud ko kho dete hain,
Apne dil ki dhadkanon ko, hum khud se chhod dete hain.

Zindagi ki raahon mein kabhi kabhi tootna bhi hai khushi,
Kyun na ho jaaye gireya ka rang, rang hai intehai.

Sad Shayari in English on Dosti

Sad Shayari in English on Dosti
Alone Sad Shayari in English​

Mohabbat nahi rahi zamane mein,
Ab log ishq nahi, mazaak karte hain.

Kaanch ke jaise hote hain hum jaise tanha,
Logon ke dil kabhi toot jaate hain to kabhi tod diye jaate hain.

Bahut tarasha maine mohabbat se sanam ko,
So patthar tha, patthar hi nikla.

Usne phir se salaam bheja hai,
Phir kisi se bigad gayi hogi.

Ab to humein hamesha udaas hi rehna hai,
Is dil se nikal gaya koi.

Zara sa khush kya hue,
Kismat ko hi bura lag gaya.

Aaj apni awaaz suna do,
Sabr phir kabhi aazma lena mera.

Arsa hua kisi ne pukara nahi mujhe,
Shaayad kisi ko meri zarurat nahi rahi.

Use kehna ab gumsum sa rehta hai,
Woh shararti sa ladka bahut badal gaya.

Main to chup hoon ke andar se bahut khaali hoon,
Aur kuch log pur-saraar samajhte hain mujhe.

Bataoon tumhe udaas logon ki nishani,
Woh log muskurate bahut hain.

Kabhi kabhi yeh dil udaas hota hai,
Halka sa ehsaas hota hai,

Jhalakte hain mere bhi aansu,
Jab aapse door hone ka ehsaas hota hai.

Kaun aayega yahan, koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon ne hilaya hoga.

Teri soch mein hi guzar gayi,
Woh jo umar thi bade kaam ki.

Sad Love Shayari in English for Girlfriend

Tum tanha rehne ka sochna bhi mat,
Tumhara waqt hoon, saath saath chalunga.

Jawab tere hi rahenge hamesha,
Mujhe bharosa hai apni aankhon par.

Saari baatein dil ki hoti hain,
Agar insaan ka dil hi mar jaye,

To lakh behtareen cheezein ata kar di jayein,
Labon par muskurahat ke phool nahi khilte.

Woh ladki tinka tinka bikhar gayi,
Jise maan tha apne sabr par.

Koi aayat padh ke bhej idhar,
Meri aankhen neend se khaali hain.

Udaas rehne ka mujhe koi shauk nahi,
Bas tere saath bitaye hue pal main bhool nahi paata.

Aao aankhen mila ke dekhte hain,
Kaun kitna udaas rehta hai.

Waqt lagta hai par yaqeen maano,
Bada sukoon milta hai akele rehne mein.

Tere hote hue aajati thi saari duniya,
Aaj tanha hoon to koi nahi aane wala.

Hum tanhaiyon ke badshah hain ji,
Ab hamara ronakon mein dil nahi lagta.

Haaye yeh chai ki meizon pe qahqahon ke shareek,
Dilon mein jhaank ke dekho to sab ke sab tanha.

Nahi hai koi muntazir hamara,
Jis se karein dil ki baat.

So jao ke duniya masroof hai,
Apne chahne walon ke saath.

Bas ek chehre ne tanha kar diya humein,
Warna hum khud ek mehfil hua karte the.

Haaye yeh chai ki meizon pe qahqahon ke shareek,
Dilon mein jhaank ke dekho to sab ke sab tanha.

Tanha khamosh raat aur guftagu ki aarzoo,
Hum kis se karein baat, koi bolta nahi.

Alone Sad Quotes in Hindi ​

  • “Dard to naseeb se milta hai, himmat se nahi.”

  • “Aansu girte hain zameen par, dil toot-ta hai aasman mein.”

  • “Kabhi kabhi insaan na tootta hai, na bikharta hai, bas haar jaata hai.”

  • “Zindagi ki raahon mein aksar wahi log milte hain, jo kho jaate hain.”

  • “Har insaan ke dil mein dard chhupa hota hai, par jo muskurata hai wahi sabse zyada toota hota hai.”

  • “Dil ka dard bayan nahi hota, bas sehna padta hai.”

  • “Kabhi kisi ke liye itna bhi mat roo ki wo tumhare aansuon ki kadar hi na kare.”

  • “Jo dard deta hai, wahi dawa bhi deta hai.”

  • “Sachche rishte insaan ko zyada dard dete hain.”

  • “Dukh to hamara saathi hai, ab to khushiyan bhi daraati hain.”

  • “Akelapan bhi ek saza hai, jo hum apne liye khud chunte hain.”

  • “Akelapan ki aadat ho jaaye to kisi ka saath bhi acha nahi lagta.”

  • “Akele chalna seekh lo, kyunki sahara kab dhokha de jaaye, koi nahi jaanta.”

  • “Akelapan jab dil par chot karta hai, tab yaadon ka mela lagta hai.”

  • “Akele hone par bhi hum kisi ko khona ka darr rakhte hain.”

  • “Akelapan wo dard hai jise har koi nahi samajh sakta.”

  • “Akelapan ek aisa saathi hai, jo hamesha saath rehta hai.”

  • “Akele chalne ka hausla rakho, kyunki safar lamba hai aur humsafar shayad na ho.”

  • “Akelapan ki bheed mein bhi sukoon nahi milta.”

  • “Akelapan ki aawaaz bahut door tak sunai deti hai.”

Breakup Sad Shayari in English

Breakup Sad Shayari in English
Alone Sad Shayari in English​

Jazbaat kehte hain, khamoshi se basar ho jaayein,
Dard ki zid hai ke duniya ko khabar ho jaayein.

Fursat mein yaad karna ho to mat karna yaad,
Hum tanha zaroor hain, magar fazool nahi.

Raat mein jab chaand nazar aata hai to yaad aa jaati hai,
Tujh se milne ki lab par faryaad aa jaati hai.

Wohi phir mujhe yaad aane lage hain,
Jinhe bhoolne mein zamane lage hain.

Jin ka milna nahi hota qismat mein,
Unki yaadein qasam se kamaal ki hoti hain.

Khil jaata hai teri yaadon ka bazaar sar-e-aam,
Phir meri raat usi ronak mein guzar jaati hai.

Tum yaad na bhi karo to acche lagte ho,
Agar tum yaad karte to najane kya hota.

Apne gham mein bhi nayaab khazana dhoond lete hain,
Hum tumhe yaad karne ka bahaana dhoond lete hain.

Do qadam ka faasla, umr bhar tay na ho paaya,
Waqt ke kinare par khada rishta kabhi jud na paaya.

Pheron na nigahen, hum chalenge jaayenge,
Lekin yaad rakhna, hum bahut yaad aayenge.

Na jaane kis umr ko shayari kehte ho tum,
Hum to woh likhte hain jo tum se keh nahi paate.

Kaash tu meri aankhon ka aansu ban jaaye,
Main rona chhod doon tujhe khone ke darr se.

Sirf dil churaye ho, abhi bahut kuch baaki hai,
Mohabbat mukammal nahi hai, abhi nigah baaki hai.

Woh kehte hain ishq ki wazahat karein,
Hum kehte hain faqat mehboob ki itaat karein.

Badi bhayanak hoti hain ishq ki sazaaen,
Banda pal pal marta hai, magar maut nahi aati.

Sad Shayari Short Captions for Status

  • “Dard chhupa ke bhi jee rahe hain hum.”

  • “Aansu zameen pe girte hain, dil toot-ta hai andar.”

  • “Kabhi tanha rehna bhi zaruri hota hai.”

  • “Dil toota hai, par muskaan na chhodi.”

  • “Yaadein dard deti hain, par jeena sikhaati hain.”

  • “Tanhaai ka saathi hai, jo hamesha saath rehta hai.”

  • “Kabhi khud se baatein karo, duniya ka dard kam lagega.”

  • “Dil ka dard bas sehna padta hai, bayan nahi hota.”

  • “Akele chalna seekho, safar lamba hai aur saathi shayad na ho.”

  • “Dost jab door ho jaate hain, to zindagi adhoori lagti hai.”

  • “Akelapan ek saza hai jo hum khud chunte hain.”

  • “Jo dard deta hai, wahi shayad dawa bhi deta hai.”

  • “Yaadon ka mela jab dil ko choo jaaye.”

  • “Aansu girte hain, par dil ke jazbaat chupaye jaate hain.”

  • “Kisi ko itna bhi na chaho ki wo tumhare dard ko na samjhe.”

  • “Dil ka dard chupke se jeene ka hunar hai.”

  • “Rishte toot jaate hain, par yaadein hamesha saath rehti hain.”

  • “Tanha raaton mein bas khud ko paate hain.”

  • “Dukh humara saathi hai, ab khushi bhi daraati hai.”

  • “Akelepan ki aawaaz bahut door tak sunai deti hai.”

Final Thoughts

Hope you enjoyed our collection of Alone Sad Shayari in English​. These heart-touching lines can truly express your feelings. You can keep them for yourself or share them on your social media, status, or with friends who will relate to these emotions. Every shayari in this collection speaks directly from the heart and helps connect with the feelings of love, loneliness, and friendship.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top